
gham ke saagar main doob jane de
zindgi humko muskurane de
derd to zindgi ka hissa hai
chhot khane ke kuch bahane de
Charagar tum agar hamare ho
Maye se pur jaam de , maikhane de
Ham to aise mukaam par ab hain
Ham ko ab sabko bhool jane de
Door ham hain to yaad karte ho
Pass aa kar ke aazmane de
Dil ka har dard sokoon deta hai
Ham ko seene pe chot khane de
Zindagi tujko dhoondh loongi main
Hosh main pahle mujhe aane de
Pyaar usko bahot karoongi mai
Pahle usko to paas aane de
Uski aamad main dil sajaya hai
Hasraten ab to muskarane de
No comments:
Post a Comment